Home » Kalma Shahadat Ka Maqsad Aur Iska Matlab: Musalman Hone Ki Pehchan

Kalma Shahadat Ka Maqsad Aur Iska Matlab: Musalman Hone Ki Pehchan

by Dash

Kalma Shahadat Musalman hone ki gawahi deta hai. Ismein ye gawahi di jaati hai ki Allah ke siwa koi maabood nahi, woh ek hai, uska koi shareek nahi, aur ye gawahi di jaati hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Allah ke bande aur unke Rasool hai.

Kalma Shahadat Ka Maqsad:

Kalma Shahadat ka matlab ye hai ki tawheed ka iqraar, yani Allah ki wahdaniyat ko maana, aur Risalat ka iqraar, yani Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ko Allah ka Rasool tasleem karna. Apne imaan ka izhar karna aur uska tajdeed karna.

Kalma Shahadat Ki Ahmiyat: 

Ye kalima agar wuzu ke baad padha jaye, to is kalime ki itni ahmiyat hai ki agar hum isse wuzu ke baad padhte hai, to humare liye Jannat ke 8 ke 8 darwaze khol diye jaate hai. Kalma Shahadat hum rozana namaz mein padhte hai, jo Attahiyat mein aata hai. Kalma Shahadat ki itni badi ahmiyat hai ki ye kalma hum padhne ke sath sath rozana azan mein bhi sunte hai.

Kalma Shahadat Ka Sahi Tareeqa: 

Jaise aam kalimat padhi jaati hai, ussi tarah Kalma Shahadat bhi padhi jaayegi. Humein chahiye ki isse zabaan ke sath sath dil se bhi bolen aur qubool karein, aur yeh koshish karein ki har wuzu ke baad hum is kalime ko padhein.

Kalma Shahadat Aur Uska Tarjuma: 

Ashhadu alla ilaha illallahu, wa ash-hadu anna Muhammadan abduhu wa rasooluh. Tarjuma: Main gawahi deta hoon ke Allah ke siwa koi maabood nahi, woh akela hai, uska koi shareek nahi. Aur main gawahi deta hoon ke Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Allah ke nek bande aur aakhri Rasool hai.

Kalma Shahadat Ki Fazilat: 

Yeh kalma imaan ke aqeede ka buniyadi hissa hai, jo Allah ki wahdaniyat aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke risalat ko tasleem karta hai. Kalma Shahadat Islam mein dakhil hone ka pehla qadam hota hai. Agar koi insaan Musalman hone ke liye Islam mein dakhil hota hai, to usse pehle Kalma Shahadat padhna hota hai, fir woh shakhs Islam mein dakhil ho jata hai. Iske regular padhne se insaan ka imaan mazboot hota hai. Kalma Shahadat ko dil se aur uske tarjume ke sath padha jaye, to shirk jaise kabira gunaah aur bidat se bachne ka behtareen zariya faraham hota hai.

Kalma Shahadat Padhne Ka Asar:

Islam mein dakhil hone ke liye insaan ko yeh kalima padhaya jata hai, aur use chahiye ke sirf zabaan se hi nahi, balki dil se bhi qubool karein. Har wo insaan jo Musalman ho ya jo Islam mein dakhil ho raha ho, use chahiye ke zabaan ke sath sath dil se bhi yeh Kalma Shahadat ko qubool kare. Aur jab hum Kalma Shahadat padhte hai, to hum is baat ki shahadat dete hai ki Allah ek hai, uska koi shareek nahi, aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Allah ke Rasool hai. Is kalime ko padhne ka sabse bada asar yeh hai ke agar is kalimat ko wuzu ke baad koi shakhs padh le, to uske liye Jannat ke atho darwaze khol diye jaate hai. Is kalimat ko padhne ka itna bada asar hai hamari zindagi mein.

Conclusion: 

Kalma Shahadat har Musalman ke imaan ka buniyadi hissa hai. Yeh kalma Allah ki wahdaniyat aur Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke risalat ka iqraar hai. Islamic Jankari ke mutabiq, isse padhne se na sirf hamara imaan mazboot hota hai, balki hamari zindagi aur aakhirat ke liye bhi yeh bahut ahmiyat rakhta hai. Har wuzu ke baad isse padhna Jannat ke darwaze kholne ka zariya ban sakta hai. Yeh kalma shirk aur bidat se bachne ka behtareen zariya hai. Islamic Jankari ke nuskhay par amal karte hue, Kalma Shahadat padhne se hum apne imaan ko taza aur mazboot karte hai.

© 2024 All Right Reserved. Designed and Developed by Inspirationignite